hamare KHwab hamari pasand hote gae
hamāre ḳhvāb hamārī pasand hote ga.e
ham apne ā.īna-ḳhānoñ meñ band hote ga.e
ye kyā huā ki ba-īñ-jism us se milte rahe
magar firāq ke sadme do-chand hote ga.e
har ek fat.h pe maġhrūr ho rahā thā vo
har ik shikast pe ham ḳhud-pasand hote ga.e
ham aise bikhre ki apne hī kaam na aa sake
kisī ke haq meñ magar sūd-mand hote ga.e
kisī kī bālā-qadī ke shikoh kī zid meñ
ham apne qad se ziyāda buland hote ga.e
hamare KHwab hamari pasand hote gae
hum apne aaina-KHanon mein band hote gae
ye kya hua ki ba-in-jism us se milte rahe
magar firaq ke sadme do-chand hote gae
har ek fath pe maghrur ho raha tha wo
har ek shikast pe hum KHud-pasand hote gae
hum aise bikhre ki apne hi kaam na aa sake
kisi ke haq mein magar sud-mand hote gae
kisi ki baala-qadi ke shikoh ki zid mein
hum apne qad se ziyaada buland hote gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.