hamare KHwab ka kuchh inikas lagta hai
hamāre ḳhvāb kā kuchh in.ikās lagtā hai
ye aadmī to hameñ rū-shanās lagtā hai
guzārishāt bhī bā'is thiiñ barhamī kā kabhī
ab us kā hukm bhī ik iltimās lagtā hai
jo apne naam se tahrīr us ne bhejī hai
hamāre ḳhat kā koī iqtibās lagtā hai
bilā-sabab ye kare bad-gumān kyuuñ āḳhir
durust nāseh qayāfa-shanās lagtā hai
vo ham se tark-e-ta.alluq pe ab hai āmāda
hameñ to aap kā ye ik qayās lagtā hai
ḳhudā kare ki hameñ vo duā na koī de
hameñ to kosnā hī us kā raas lagtā hai
tarāsheñ pairahan ab kuchh na.ī zamīnoñ meñ
darīda sher kā pichhlā libās lagtā hai
ye daur kaisā hai jis shaḳhs se bhī milnā ho
pareshāñ-hāl shikasta udaas lagtā hai
batā.eñ aap ko kyā hai 'matīn' kī pahchān
sarāpā dard hai tasvīr-e-yās lagtā hai
hamare KHwab ka kuchh inikas lagta hai
ye aadmi to hamein ru-shanas lagta hai
guzarishat bhi ba'is thin barhami ka kabhi
ab us ka hukm bhi ek iltimas lagta hai
jo apne nam se tahrir us ne bheji hai
hamare KHat ka koi iqtibas lagta hai
bila-sabab ye kare bad-guman kyun aaKHir
durust naseh qayafa-shanas lagta hai
wo hum se tark-e-talluq pe ab hai aamada
hamein to aap ka ye ek qayas lagta hai
KHuda kare ki hamein wo dua na koi de
hamein to kosna hi us ka ras lagta hai
tarashen pairahan ab kuchh nai zaminon mein
darida sher ka pichhla libas lagta hai
ye daur kaisa hai jis shaKHs se bhi milna ho
pareshan-haal shikasta udas lagta hai
bataen aap ko kya hai 'matin' ki pahchan
sarapa dard hai taswir-e-yas lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.