hamare lab pe jab us bewafa ka nam aata hai
hamāre lab pe jab us bevafā kā naam aatā hai
baḌī mushkil se qaabū meñ dil-e-nākām aatā hai
havās-o-hosh kī duniyā luTā detā huuñ saaqī par
qasam allāh kī merī taraf jab jaam aatā hai
jafā sheva hai un kā hai shi.ār apnā vafādārī
unheñ vo kaam aatā hai hameñ ye kaam aatā hai
nazar aate haiñ jab do aadmī ahd-e-vafā karte
mirī āñkhoñ ke aage ishq kā anjām aatā hai
surāhī dar-baġhal sāġhar-ba-kaf piitā huā paiham
na jaane kaun sī duniyā se mai-āshām aatā hai
maiñ Dartā huuñ na harf aa.e kahīñ parda-nashīnī par
laraz jaatā huuñ jab lab par kisī kā naam aatā hai
jo jiitā huuñ to un kī shoḳhiyāñ jiine nahīñ detīñ
jo martā huuñ vafāoñ par mirī ilzām aatā hai
'salām'-e-soḳhta-qismat kī mahfil hai ajab mahfil
sitārā sub.h kā ban kar charāġh-e-shām aatā hai
hamare lab pe jab us bewafa ka nam aata hai
baDi mushkil se qabu mein dil-e-nakaam aata hai
hawas-o-hosh ki duniya luTa deta hun saqi par
qasam allah ki meri taraf jab jam aata hai
jafa shewa hai un ka hai shiar apna wafadari
unhen wo kaam aata hai hamein ye kaam aata hai
nazar aate hain jab do aadmi ahd-e-wafa karte
meri aankhon ke aage ishq ka anjam aata hai
surahi dar-baghal saghar-ba-kaf pita hua paiham
na jaane kaun si duniya se mai-asham aata hai
main Darta hun na harf aae kahin parda-nashini par
laraz jata hun jab lab par kisi ka nam aata hai
jo jita hun to un ki shoKHiyan jine nahin detin
jo marta hun wafaon par meri ilzam aata hai
'salam'-e-soKHta-qismat ki mahfil hai ajab mahfil
sitara subh ka ban kar charagh-e-sham aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.