hamare mushtarak ehsas ka manzar bhulawa hai
hamāre mushtarak ehsās kā manzar bhulāvā hai
yazīdī gardanoñ par ḳhaak aur ḳhanjar bhulāvā hai
parinde ghoñsloñ se duur ab ākāsh meñ jaa.eñ
zamīñ kī māmtā kyā hai muqaddar gar bhulāvā hai
ham ab ke ḳhushk-sālī par qanā.at kar nahīñ sakte
lahū kī fasl se dhartī huī banjar bhulāvā hai
hamārī aañkh meñ har roz ik ummīd lahrā.e
hamārī muTThiyoñ meñ ḳhvāb ho behtar bhulāvā hai
saḌak ke hādse meñ ham bhī ik din Dher ho jaa.eñ
ye ġhazleñ sher aur daftar miyāñ 'safdar' bhulāvā hai
hamare mushtarak ehsas ka manzar bhulawa hai
yazidi gardanon par KHak aur KHanjar bhulawa hai
parinde ghonslon se dur ab aakash mein jaen
zamin ki mamta kya hai muqaddar gar bhulawa hai
hum ab ke KHushk-sali par qanaat kar nahin sakte
lahu ki fasl se dharti hui banjar bhulawa hai
hamari aankh mein har roz ek ummid lahrae
hamari muTThiyon mein KHwab ho behtar bhulawa hai
saDak ke hadse mein hum bhi ek din Dher ho jaen
ye ghazlen sher aur daftar miyan 'safdar' bhulawa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.