hamare pas aane par haya se kaam leti ho
hamāre paas aane par hayā se kaam letī ho
magar tanhā.ī meñ aksar hamārā naam letī ho
sar-e-mahfil to koī guftugū kartī nahīñ ho tum
nigāhoñ se mire dil ke magar paiġhām letī ho
mire piine se nafrat kyoñ hai tum ko ye to batlāo
surāhī toḌ detī ho kabhī tum jaam letī ho
sunātī ho merī chāhat ke qisse tum sahelī ko
ḳhushī se jhuum ke apnā hī dāman thaam letī ho
tumhāre dil kī dhaḌkan meñ base jo pyaar ke naġhme
hamārā naam un naġhmoñ meñ sub.h-o-shām letī ho
gavārā kar nahīñ saktīñ agarche ruuTh ke jaanā
to phir kyoñ be-ruḳhī kā apne sar ilzām letī ho
mujhe ma.alūm hai tum 'āshnā' ho merī chāhat se
adā-e-be-ruḳhī se bhī magar tum kaam letī ho
hamare pas aane par haya se kaam leti ho
magar tanhai mein aksar hamara nam leti ho
sar-e-mahfil to koi guftugu karti nahin ho tum
nigahon se mere dil ke magar paigham leti ho
mere pine se nafrat kyon hai tum ko ye to batlao
surahi toD deti ho kabhi tum jam leti ho
sunati ho meri chahat ke qisse tum saheli ko
KHushi se jhum ke apna hi daman tham leti ho
tumhaare dil ki dhaDkan mein base jo pyar ke naghme
hamara nam un naghmon mein subh-o-sham leti ho
gawara kar nahin saktin agarche ruTh ke jaana
to phir kyon be-ruKHi ka apne sar ilzam leti ho
mujhe malum hai tum 'ashna' ho meri chahat se
ada-e-be-ruKHi se bhi magar tum kaam leti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.