hamare qalb ke aangan mein tu nahin rahta
hamāre qalb ke āñgan meñ tū nahīñ rahtā
sarāb-e-husn tirī justujū nahīñ rahtā
kuchh aisā zaḳhm diyā irtiqā.ī sūraj ne
ragoñ meñ dauḌne vaalā lahū nahīñ rahtā
ye tajrabāt kā mausam ajiib mausam hai
kahīñ bhī shāḳh-e-shajar par numū nahīñ rahtā
na jaane kaun sī vahshat hai us kī āñkhoñ meñ
vo aa.ina hai magar rū-ba-rū nahīñ rahtā
garaj ke saath barasnā ghaTā kī fitrat hai
samundaroñ meñ kabhī hāo-hū nahīñ rahtā
vo ajnabī thā sar-e-rāh luT gayā 'nashtar'
charāġh-e-rāh-e-safar kū-ba-kū nahīñ rahtā
hamare qalb ke aangan mein tu nahin rahta
sarab-e-husn teri justuju nahin rahta
kuchh aisa zaKHm diya irtiqai suraj ne
ragon mein dauDne wala lahu nahin rahta
ye tajrabaat ka mausam ajib mausam hai
kahin bhi shaKH-e-shajar par numu nahin rahta
na jaane kaun si wahshat hai us ki aankhon mein
wo aaina hai magar ru-ba-ru nahin rahta
garaj ke sath barasna ghaTa ki fitrat hai
samundaron mein kabhi hao-hu nahin rahta
wo ajnabi tha sar-e-rah luT gaya 'nashtar'
charagh-e-rah-e-safar ku-ba-ku nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.