hamare rone pe kah rahe hain ye kaise moti baras rahe hain
hamare rone pe kah rahe hain ye kaise moti baras rahe hain
Kishan lal Khandaan Dehlvi
MORE BYKishan lal Khandaan Dehlvi
hamāre rone pe kah rahe haiñ ye kaise motī baras rahe haiñ
hamārī muñDiyā ragaḌ ke bole tujhe kasauTī pe kas rahe haiñ
hamārā dil le ke kahte haiñ vo ki jaan to maiñ ne lī nahīñ hai
ye chorī aur is pe sīna-zorī hamīñ pe ulTe baras rahe haiñ
ġhazab ki jis shāḳh par vo baiTheñ usī ko kāTeñ usī ko phūñkeñ
hamāre dil meñ jo bas rahe haiñ hamāre dil ko jhulas rahe haiñ
ye un ke gesū ye un ke kākul ye sar chaḌhe un ke naag kaale
inheñ vo jitnā bhī kas rahe haiñ hameñ ye utnā hī Das rahe haiñ
kisī kī ik biivī do kisī kī kisī kī tiin aur kisī kī haiñ chaar
hamāre paas ek bhī nahīñ hai ye dekh kar ham kilas rahe haiñ
makān kī apne chhat hai TuuTī umañD ke aa.e haiñ kaale bādal
garaj garaj kar Darā rahe haiñ baġhair barse baras rahe haiñ
sharāb sī shai se bhī to ham ko karāhiyat ho rahī hai 'ḳhandāñ'
piyāle vich ne sharāb pā duuñ yeh gall sānūñ vo das rahe haiñ
hamare rone pe kah rahe hain ye kaise moti baras rahe hain
hamari munDiya ragaD ke bole tujhe kasauTi pe kas rahe hain
hamara dil le ke kahte hain wo ki jaan to main ne li nahin hai
ye chori aur is pe sina-zori hamin pe ulTe baras rahe hain
ghazab ki jis shaKH par wo baiThen usi ko kaTen usi ko phunken
hamare dil mein jo bas rahe hain hamare dil ko jhulas rahe hain
ye un ke gesu ye un ke kakul ye sar chaDhe un ke nag kale
inhen wo jitna bhi kas rahe hain hamein ye utna hi Das rahe hain
kisi ki ek biwi do kisi ki kisi ki tin aur kisi ki hain chaar
hamare pas ek bhi nahin hai ye dekh kar hum kilas rahe hain
makan ki apne chhat hai TuTi umanD ke aae hain kale baadal
garaj garaj kar Dara rahe hain baghair barse baras rahe hain
sharab si shai se bhi to hum ko karahiyat ho rahi hai 'KHandan'
piyale wich ne sharab pa dun yeh gall sanun wo das rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.