hamare sanehe hum ko suna rahe kyun ho
hamāre sānihe ham ko sunā rahe kyuuñ ho
tum itnā bojh bhī dil par uThā rahe kyuuñ ho
tumhārī chhāñv meñ baiThe uThā diyā tum ne
phir ab pukār ke vāpas bulā rahe kyuuñ ho
jo baat sab se chhupā.ī thī umr bhar ham ne
vo baat saare jahāñ ko batā rahe kyuuñ ho
jab ek pal bhī guzarnā muhāl hotā hai
phir itnī der bhī ham se judā rahe kyuuñ ho
tumhārī aañkh meñ aañsū dikhā.ī dete haiñ
tum itnī zor se hañs ke chhupā rahe kyuuñ ho
jo kar liyā hai judā.ī kā faisla tum ne
to ye fuzūl bahāne banā rahe kyuuñ ho
na jaane kis liye āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
zarā sī baat ko itnā baḌhā rahe kyuuñ ho
hamare sanihe hum ko suna rahe kyun ho
tum itna bojh bhi dil par uTha rahe kyun ho
tumhaari chhanw mein baiThe uTha diya tum ne
phir ab pukar ke wapas bula rahe kyun ho
jo baat sab se chhupai thi umr bhar hum ne
wo baat sare jahan ko bata rahe kyun ho
jab ek pal bhi guzarna muhaal hota hai
phir itni der bhi hum se juda rahe kyun ho
tumhaari aankh mein aansu dikhai dete hain
tum itni zor se hans ke chhupa rahe kyun ho
jo kar liya hai judai ka faisla tum ne
to ye fuzul bahane bana rahe kyun ho
na jaane kis liye aankhon mein aa gae aansu
zara si baat ko itna baDha rahe kyun ho
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 12.07.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.