hamare sath zamana hai tum bhi sath chalo
hamāre saath zamāna hai tum bhī saath chalo
jo hausla hī baḌhānā hai tum bhī saath chalo
hameñ gar apnā banānā hai tum bhī saath chalo
jo dil kā dard miTānā hai tum bhī saath chalo
jahāñ panāh har ik ḳhasta dil ko miltī hai
vahī hamārā Thikānā hai tum bhī saath chalo
jahāñ meñ adl-o-muravvat kahāñ haiñ poshīda
unhīñ ko DhūñD ke laanā hai tum bhī saath chalo
ḳhulūs uns-o-mohabbat kī rahguzāroñ se
jafā kā naqsh miTānā hai tum bhī saath chalo
zamāna niiñd meñ ġhaflat kī so rahā hai ise
jhiñjhoḌnā hai jagānā hai tum bhī saath chalo
phir aaj 'josh' ne ye kah diyā sar-e-mahfil
ġhazal ik un ko sunānā hai tum bhī saath chalo
hamare sath zamana hai tum bhi sath chalo
jo hausla hi baDhana hai tum bhi sath chalo
hamein gar apna banana hai tum bhi sath chalo
jo dil ka dard miTana hai tum bhi sath chalo
jahan panah har ek KHasta dil ko milti hai
wahi hamara Thikana hai tum bhi sath chalo
jahan mein adl-o-murawwat kahan hain poshida
unhin ko DhunD ke lana hai tum bhi sath chalo
KHulus uns-o-mohabbat ki rahguzaron se
jafa ka naqsh miTana hai tum bhi sath chalo
zamana nind mein ghaflat ki so raha hai ise
jhinjhoDna hai jagana hai tum bhi sath chalo
phir aaj 'josh' ne ye kah diya sar-e-mahfil
ghazal ek un ko sunana hai tum bhi sath chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.