hamare sar se wo tufan kahin guzar gae hain
hamāre sar se vo tūfāñ kahīñ guzar ga.e haiñ
chaḌhe hue the jo dariyā sabhī utar ga.e haiñ
rahe nahīñ haiñ kabhī ek haal par qaa.em
simaT ga.e haiñ kabhī aur kabhī bikhar ga.e haiñ
usuul hai ki ḳhalā yūñhī rah nahīñ saktā
hue haiñ ḳhud se jo ḳhālī so tujh se bhar ga.e haiñ
ruke bhī haiñ to dobāra ravāngī ke liye
chale bhī haiñ to kahīñ raah meñ Thahar ga.e haiñ
tumhāre ahd-e-taġhāful meñ jī rahe haiñ abhī
huā hai kuchh tumheñ hāsil na ham hī mar ga.e haiñ
nikal paḌe to phir apnā surāġh mil na sakā
tumhāre paas hī pahuñche na apne ghar ga.e haiñ
vahī hai dā.era-e-ḳhvāb ibtidā-e-safar
usī qadar hue vāpas bhī jis qadar ga.e haiñ
isī kamī kā hai ehsās aur hairānī
haiñ aur to sabhī maujūd ham kidhar ga.e haiñ
'zafar' hamārī mohabbat kā silsila hai ajiib
jahāñ chhupā nahīñ paa.e vahāñ mukar ga.e haiñ
hamare sar se wo tufan kahin guzar gae hain
chaDhe hue the jo dariya sabhi utar gae hain
rahe nahin hain kabhi ek haal par qaem
simaT gae hain kabhi aur kabhi bikhar gae hain
usul hai ki KHala yunhi rah nahin sakta
hue hain KHud se jo KHali so tujh se bhar gae hain
ruke bhi hain to dobara rawangi ke liye
chale bhi hain to kahin rah mein Thahar gae hain
tumhaare ahd-e-taghaful mein ji rahe hain abhi
hua hai kuchh tumhein hasil na hum hi mar gae hain
nikal paDe to phir apna suragh mil na saka
tumhaare pas hi pahunche na apne ghar gae hain
wahi hai daera-e-KHwab ibtida-e-safar
usi qadar hue wapas bhi jis qadar gae hain
isi kami ka hai ehsas aur hairani
hain aur to sabhi maujud hum kidhar gae hain
'zafar' hamari mohabbat ka silsila hai ajib
jahan chhupa nahin pae wahan mukar gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.