hamare shahr ka manzar badalne wala hai
hamāre shahr kā manzar badalne vaalā hai
siyāh raat meñ sūraj nikalne vaalā hai
nayā libās jo har din badalne vaalā hai
amīr-e-shahr ke TukḌoñ pe palne vaalā hai
ye aur baat miTā deñ harīf tahrīreñ
mirā qalam to haqīqat ugalne vaalā hai
havā se kah do ke ab ehtimām se aa.e
phir ik charāġh darīche pe jalne vaalā hai
ye kis maqām pe laa.ī hai bebasī mujh ko
mirā vajūd to ḳhushbū meñ palne vaalā hai
libās shakl rifāqat ḳhulūs mehr-o-vafā
is inqalāb meñ sab kuchh badalne vaalā hai
kisī bhī shakl meñ fitrat badal nahīñ saktī
ye kaun kahtā hai patthar pighalne vaalā hai
hamare shahr ka manzar badalne wala hai
siyah raat mein suraj nikalne wala hai
naya libas jo har din badalne wala hai
amir-e-shahr ke TukDon pe palne wala hai
ye aur baat miTa den harif tahriren
mera qalam to haqiqat ugalne wala hai
hawa se kah do ke ab ehtimam se aae
phir ek charagh dariche pe jalne wala hai
ye kis maqam pe lai hai bebasi mujh ko
mera wajud to KHushbu mein palne wala hai
libas shakl rifaqat KHulus mehr-o-wafa
is inqalab mein sab kuchh badalne wala hai
kisi bhi shakl mein fitrat badal nahin sakti
ye kaun kahta hai patthar pighalne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.