hamare shahr mein ghar is liye sunsan rahte hain
hamare shahr mein ghar is liye sunsan rahte hain
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
hamāre shahr meñ ghar is liye sunsān rahte haiñ
ki ghar ghar ḳhauf se sahme hue insān rahte haiñ
agar tum ishq kī masjid meñ jaanā Thaan hī baiThe
to bar-ḳhurdār sīkho us ke kyā arkān rahte haiñ
mujhe mālik mire bachchoñ ke har ġham se bachā lenā
lab-e-dil par vahī ban kar mire muskān rahte haiñ
mujhe koī dikhā kar ḳhvāb meñ merā nagar bolā
yahāñ lā-haul vird-e-ḳhās rakh shaitān rahte haiñ
mohabbat vo muqaddas chiiz hai sun ai dil-e-nādāñ
vo mil jaa.e to rāhat ke baḌe imkān rahte haiñ
vahī dil mo'atabar muftī hai ahl-e-dīñ kī duniyā meñ
ki jis meñ ai zamāne muttaqī armān rahte haiñ
mirī bastī pe hargiz qahr barpā ho nahīñ saktā
mirī bastī meñ ghar ghar sāhib-e-īmān rahte haiñ
miyāñ shohrat bhī aksar aadmī pe zulm Dhātī hai
vahī achchhe haiñ duniyā meñ jo kam pahchān rahte haiñ
yahāñ har baat āñkhoñ ke ishāre se karo 'tāhir'
lage dīvār se har vaqt kitne kaan rahte haiñ
hamare shahr mein ghar is liye sunsan rahte hain
ki ghar ghar KHauf se sahme hue insan rahte hain
agar tum ishq ki masjid mein jaana Than hi baiThe
to bar-KHurdar sikho us ke kya arkan rahte hain
mujhe malik mere bachchon ke har gham se bacha lena
lab-e-dil par wahi ban kar mere muskan rahte hain
mujhe koi dikha kar KHwab mein mera nagar bola
yahan la-haul wird-e-KHas rakh shaitan rahte hain
mohabbat wo muqaddas chiz hai sun ai dil-e-nadan
wo mil jae to rahat ke baDe imkan rahte hain
wahi dil mo'atabar mufti hai ahl-e-din ki duniya mein
ki jis mein ai zamane muttaqi arman rahte hain
meri basti pe hargiz qahr barpa ho nahin sakta
meri basti mein ghar ghar sahib-e-iman rahte hain
miyan shohrat bhi aksar aadmi pe zulm Dhati hai
wahi achchhe hain duniya mein jo kam pahchan rahte hain
yahan har baat aankhon ke ishaare se karo 'tahir'
lage diwar se har waqt kitne kan rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.