hamare sher ka hasil tassuraat se hai
hamāre sher kā hāsil ta.assurāt se hai
hamārā rābta kāġhaz qalam davāt se hai
hamārī ziist kā yuuñ hādsoñ se rishta hai
ki jaise zulf ko nisbat siyāh raat se hai
fazā chaman kī to shabnam se bā-vazū hogī
ḳhudā kā zikr alassub.h paat paat se hai
ḳhulūs dekhiye patthar meñ dast-kārī kā
jo puuje jaane kī raġhbat ḳhudā kī zaat se hai
'hayāt' jis kī amānat thī us ko lauTā dī
ab apnī ziist kī vābastagī mamāt se hai
hamare sher ka hasil tassuraat se hai
hamara rabta kaghaz qalam dawat se hai
hamari zist ka yun hadson se rishta hai
ki jaise zulf ko nisbat siyah raat se hai
faza chaman ki to shabnam se ba-wazu hogi
KHuda ka zikr alassubh pat pat se hai
KHulus dekhiye patthar mein dast-kari ka
jo puje jaane ki raghbat KHuda ki zat se hai
'hayat' jis ki amanat thi us ko lauTa di
ab apni zist ki wabastagi mamat se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.