hamare TuTne ka isko bhi kuchh gham nahin hota
hamāre TūTne kā is ko bhī kuchh ġham nahīñ hotā
ye vo patthar hai jo fariyād se bhī nam nahīñ hotā
kabhī pattā bhī shab ke āñsuoñ se nam nahīñ hotā
koī qatra kisī dariyā se lekin kam nahīñ hotā
hameñ is 'ahd meñ jiine kā koī ġham nahīñ hotā
ġhazal ke aa.ine meñ sub.h kā mātam nahīñ hotā
charāġhoñ se hamāre zaḳhm ko raushan na kar itnā
kabhī sūraj nikalne se añdherā kam nahīñ hotā
hamāre shahr meñ khilte haiñ zaḳhmoñ ke gulāb ab bhī
tumhāre shahr meñ aisā koī mausam nahīñ hotā
kabhī to hosh ke 'ālam meñ tanhā.ī sī hotī hai
kabhī tanhā.iyoñ meñ hosh kā 'ālam nahīñ hotā
kabhī shādābiyāñ ḳhud mausamoñ se jang kartī haiñ
kabhī ujḌe hue rangoñ kā bhī mausam nahīñ hotā
koī shikva nahīñ kartā kisī kī sang-bārī kā
mizāj-e-ā.ina 'arshad' kabhī barham nahīñ hotā
hamare TuTne ka is ko bhi kuchh gham nahin hota
ye wo patthar hai jo fariyaad se bhi nam nahin hota
kabhi patta bhi shab ke aansuon se nam nahin hota
koi qatra kisi dariya se lekin kam nahin hota
hamein is 'ahd mein jine ka koi gham nahin hota
ghazal ke aaine mein subh ka matam nahin hota
charaghon se hamare zaKHm ko raushan na kar itna
kabhi suraj nikalne se andhera kam nahin hota
hamare shahr mein khilte hain zaKHmon ke gulab ab bhi
tumhaare shahr mein aisa koi mausam nahin hota
kabhi to hosh ke 'alam mein tanhai si hoti hai
kabhi tanhaiyon mein hosh ka 'alam nahin hota
kabhi shadabiyan KHud mausamon se jang karti hain
kabhi ujDe hue rangon ka bhi mausam nahin hota
koi shikwa nahin karta kisi ki sang-bari ka
mizaj-e-aina 'arshad' kabhi barham nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.