hamare waste koi jadid KHwab nahin
hamāre vāste koī jadīd ḳhvāb nahīñ
mazīd ḳhvāb nahīñ ab mazīd ḳhvāb nahīñ
har ek rabt ko mismār kar gayā thā vo
ye hādisa thā nihāyat shadīd ḳhvāb nahīñ
maiñ apnī āñkhoñ ko jhūTā dilāsa kaise duuñ
jab us ke ḳhvāb kā bhī chashm-dīd ḳhvāb nahīñ
ye saare dirham-o-dīnār le ke jaao miyāñ
hamāre ḳhvāb koī zar-ḳharīd ḳhvāb nahīñ
tum apne aane kā vā'da karo qasam khā kar
navīd-e-vasl ho sachchī navīd ḳhvāb nahīñ
ham us kā ḳhvāb bhī dekheñ to bā-vazū rah kar
kisī bhī haal meñ karte palīd ḳhvāb nahīñ
ab us ke husn kī tasvīr kyā banā.eñ ham
haqīqatoñ se to hotā kashīd ḳhvāb nahīñ
ham apnī āñkheñ khulī hī rakheñ agar 'ishrat'
to koī ḳhvāb hamārā ba'īd ḳhvāb nahīñ
hamare waste koi jadid KHwab nahin
mazid KHwab nahin ab mazid KHwab nahin
har ek rabt ko mismar kar gaya tha wo
ye hadisa tha nihayat shadid KHwab nahin
main apni aankhon ko jhuTa dilasa kaise dun
jab us ke KHwab ka bhi chashm-did KHwab nahin
ye sare dirham-o-dinar le ke jao miyan
hamare KHwab koi zar-KHarid KHwab nahin
tum apne aane ka wa'da karo qasam kha kar
nawid-e-wasl ho sachchi nawid KHwab nahin
hum us ka KHwab bhi dekhen to ba-wazu rah kar
kisi bhi haal mein karte palid KHwab nahin
ab us ke husn ki taswir kya banaen hum
haqiqaton se to hota kashid KHwab nahin
hum apni aankhen khuli hi rakhen agar 'ishrat'
to koi KHwab hamara ba'id KHwab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.