hamare waste raste kahan dua ke the
hamāre vāste raste kahāñ duā ke the
hazār ziine bas apne nuqūsh-e-pā ke the
sharar thā aah thī zarra thā aur qatra thā
ka.ī nishāñ mirī TuuTī huī anā ke the
jise samajhte the sab ittihād mel-milāp
yahī lagā ki ishāre vo haañ meñ nā ke the
dalālī kaisī balā thī ḳhudāyā kaise kahūñ
hamārī manzileñ aur raste rahnumā ke the
samajh meñ aa gayā jaldī hayāt-o-marg kā raaz
ki ibtidā hī meñ āsār intihā ke the
ḳhayāl aaya vahīñ āñkheñ muuñd luuñ apnī
jahāñ se rāste phir aage chashm-e-vā ke the
hamare waste raste kahan dua ke the
hazar zine bas apne nuqush-e-pa ke the
sharar tha aah thi zarra tha aur qatra tha
kai nishan meri TuTi hui ana ke the
jise samajhte the sab ittihad mel-milap
yahi laga ki ishaare wo han mein na ke the
dalali kaisi bala thi KHudaya kaise kahun
hamari manzilen aur raste rahnuma ke the
samajh mein aa gaya jaldi hayat-o-marg ka raaz
ki ibtida hi mein aasar intiha ke the
KHayal aaya wahin aankhen mund lun apni
jahan se raste phir aage chashm-e-wa ke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.