hamare zaKHm ki kya fikr chaara-ju karte
hamāre zaḳhm kī kyā fikr chāra-jū karte
tumhīñ ne chaak kiyā hai tumhīñ rafū karte
chaman meñ aap se vo khul ke guftugū karte
ye muñh guloñ kā ki da.avā-e-rañg-o-bū karte
milā ke aañkh vo ham se jo guftugū karte
to ham bhī khul ke zarā sharh-e-ārzū karte
hamāre ā.ina-e-dil se koī bahs na thī
tum apne madd-e-muqābil se guftugū karte
ye baat aisī thī ham muñh bhī chūmte jaate
vo paas baiTh ke yuuñ shikva-e-adū karte
ḳhayāl-e-ġhair se dil TukḌe TukḌe ho jaatā
hamāre sāmne dāman agar rafū karte
ye lafz vo hai muamma kabhī na hal hotā
tamām umr agar sharh-e-ārzū karte
talāsh-e-yār meñ mujh se bhī do qadam aage
nikal ga.e haiñ mire ashk justujū karte
qayāmat aa.e na kyoñ qabr par subū-bar-dosh
azal ke mast uThe haiñ subū subū karte
gire hue the hamārī hī aañkh se 'safdar'
in āñsuoñ kī vo kyā ḳhaak aabrū karte
hamare zaKHm ki kya fikr chaara-ju karte
tumhin ne chaak kiya hai tumhin rafu karte
chaman mein aap se wo khul ke guftugu karte
ye munh gulon ka ki dawa-e-rang-o-bu karte
mila ke aankh wo hum se jo guftugu karte
to hum bhi khul ke zara sharh-e-arzu karte
hamare aaina-e-dil se koi bahs na thi
tum apne madd-e-muqabil se guftugu karte
ye baat aisi thi hum munh bhi chumte jate
wo pas baiTh ke yun shikwa-e-adu karte
KHayal-e-ghair se dil TukDe TukDe ho jata
hamare samne daman agar rafu karte
ye lafz wo hai muamma kabhi na hal hota
tamam umr agar sharh-e-arzu karte
talash-e-yar mein mujh se bhi do qadam aage
nikal gae hain mere ashk justuju karte
qayamat aae na kyon qabr par subu-bar-dosh
azal ke mast uThe hain subu subu karte
gire hue the hamari hi aankh se 'safdar'
in aansuon ki wo kya KHak aabru karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.