hamari aankh ne yun bhi azab dekha tha
hamārī aañkh ne yuuñ bhī azaab dekhā thā
kisī kī aañkh se bahtā javāb dekhā thā
laboñ se aap ke gir kar bikhar ga.ī hogī
har ek shai pe jo rang-e-sharāb dekhā thā
hamāre lams ne jaadū tumhāre ruḳh pe kiyā
tabhī to shīshe meñ tum ne gulāb dekhā thā
qarīb aap ke maiñ bhī khaḌā huā thā kal
vahī jo ḳhaak meñ lipTā janāb dekhā thā
hamari aankh ne yun bhi azab dekha tha
kisi ki aankh se bahta jawab dekha tha
labon se aap ke gir kar bikhar gai hogi
har ek shai pe jo rang-e-sharab dekha tha
hamare lams ne jadu tumhaare ruKH pe kiya
tabhi to shishe mein tum ne gulab dekha tha
qarib aap ke main bhi khaDa hua tha kal
wahi jo KHak mein lipTa janab dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.