hamari aankh se aksar nazare chhuT jate hain
hamārī aañkh se aksar nazāre chhūT jaate haiñ
safar meñ ham-safar ban kar hamāre chhūT jaate
hamāre haath se ḳhushiyāñ nikal jaa.eñ to ġham kaisā
falak ke haath se bhī to sitāre chhūT jaate haiñ
kabhī kashtī mirī ḳhud chhoḌ detī hai kināroñ ko
kabhī aisā bhī hotā hai kināre chhūT jaate haiñ
nadāmat ke kabhī do-chār aañsū bhī zarūrī haiñ
ye vo paanī hai jis se daaġh saare chhūT jaate haiñ
ḳhayāl aatā hai jab tum se bichhaḌ kar zinda rahne kā
pasīne tan-badan se Dar ke maare chhūT jaate haiñ
bure manzar na phir 'vājid' tumhāre sāmne aa.eñ
vo yaad aate haiñ to ashko ke dhāre chhūT jaate haiñ
hamari aankh se aksar nazare chhuT jate hain
safar mein ham-safar ban kar hamare chhuT jate
hamare hath se KHushiyan nikal jaen to gham kaisa
falak ke hath se bhi to sitare chhuT jate hain
kabhi kashti meri KHud chhoD deti hai kinaron ko
kabhi aisa bhi hota hai kinare chhuT jate hain
nadamat ke kabhi do-chaar aansu bhi zaruri hain
ye wo pani hai jis se dagh sare chhuT jate hain
KHayal aata hai jab tum se bichhaD kar zinda rahne ka
pasine tan-badan se Dar ke mare chhuT jate hain
bure manzar na phir 'wajid' tumhaare samne aaen
wo yaad aate hain to ashko ke dhaare chhuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.