hamari aankh udasi se lal kab tak ho
hamārī aañkh udāsī se laal kab tak ho
tumhāre jaane kā āḳhir malāl kab tak ho
kisī bhī roz umaD aa.egī ye bezārī
batāo itnā ziyāda ḳhayāl kab tak ho
taġhayyurāt-e-zamāna hai lutf lete raho
hamārī baat yūñhī hasb-e-hāl kab tak ho
haTā rahe haiñ ta'alluq pe jo jamī hai gard
vo rābtoñ kā tasalsul bahāl kab tak ho
udāsī aur kahīñ bhī hameñ bulātī hai
bas ik jagah pe musalsal dhamāl kab tak ho
milegā iiñT kā un ko javāb patthar se
maiñ muntazir huuñ ki 'ārif' savāl kab tak ho
hamari aankh udasi se lal kab tak ho
tumhaare jaane ka aaKHir malal kab tak ho
kisi bhi roz umaD aaegi ye bezari
batao itna ziyaada KHayal kab tak ho
taghayyuraat-e-zamana hai lutf lete raho
hamari baat yunhi hasb-e-haal kab tak ho
haTa rahe hain ta'alluq pe jo jami hai gard
wo rabton ka tasalsul bahaal kab tak ho
udasi aur kahin bhi hamein bulati hai
bas ek jagah pe musalsal dhamal kab tak ho
milega inT ka un ko jawab patthar se
main muntazir hun ki 'arif' sawal kab tak ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.