hamari aankhon ke aage mahfil mein daur-e-jam-o-subu chale hain
hamari aankhon ke aage mahfil mein daur-e-jam-o-subu chale hain
Panna Lal Noor
MORE BYPanna Lal Noor
hamārī āñkhoñ ke aage mahfil meñ daur-e-jām-o-subū chale haiñ
bas ek ham haiñ ki terī mahfil se pī ke apnā lahū chale haiñ
rahe salāmat chaman tumhārā rahe chaman meñ bahār qaa.em
ham apnī barbādiyoñ ke sadqe miTā ke har aarzū chale haiñ
ḳhatā to dānista kuchh nahīñ kī magar hai ehsās-e-jurm itnā
ki ālam-e-be-ḳhudī meñ shāyad nazar se chilman ko chhū chale haiñ
guzar rahā thā udhar se dekhā likhā thā ye 'nūr' kī lahad par
maqām-e-ibrat hai bas yahīñ tak fareb-e-sad-rang-o-bū chale haiñ
hamari aankhon ke aage mahfil mein daur-e-jam-o-subu chale hain
bas ek hum hain ki teri mahfil se pi ke apna lahu chale hain
rahe salamat chaman tumhaara rahe chaman mein bahaar qaem
hum apni barbaadiyon ke sadqe miTa ke har aarzu chale hain
KHata to danista kuchh nahin ki magar hai ehsas-e-jurm itna
ki aalam-e-be-KHudi mein shayad nazar se chilman ko chhu chale hain
guzar raha tha udhar se dekha likha tha ye 'nur' ki lahad par
maqam-e-ibrat hai bas yahin tak fareb-e-sad-rang-o-bu chale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.