hamari aankhon mein ab koi aks-e-KHwab kahan
hamārī āñkhoñ meñ ab koī aks-e-ḳhvāb kahāñ
jo iztirāb thā dil meñ vo iztirāb kahāñ
diyā jigar kā lahū jis ne tere chehre ko
batā ai sā.at-e-rangīñ vo āftāb kahāñ
masal ke pheñk ga.e kyoñ use havā ke haath
khilā thā us ke badan kā abhī gulāb kahāñ
dayār-e-dard meñ ik mauja-e-sabā thā maiñ
asiir kar ke mujhe le chalā habāb kahāñ
jo de rahā hai to de shauq se jhijhak kaisī
mujhe hai zahr-e-halāhil se ijtināb kahāñ
hamari aankhon mein ab koi aks-e-KHwab kahan
jo iztirab tha dil mein wo iztirab kahan
diya jigar ka lahu jis ne tere chehre ko
bata ai saat-e-rangin wo aaftab kahan
masal ke phenk gae kyon use hawa ke hath
khila tha us ke badan ka abhi gulab kahan
dayar-e-dard mein ek mauja-e-saba tha main
asir kar ke mujhe le chala habab kahan
jo de raha hai to de shauq se jhijhak kaisi
mujhe hai zahr-e-halahil se ijtinab kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.