hamari arz-e-matlab par tera bezar ho jaana
hamārī arz-e-matlab par tirā bezār ho jaanā
zarā sī baat par āmāda-e-paikār ho jaanā
kisī ke ishq meñ dil kā kabhī bīmār ho jaanā
kabhī āñkhoñ kā apnī tālib-e-dīdār ho jaanā
tirī āñkhoñ kā āñkhoñ se hamārī chaar ho jaanā
ye goyā hogā barchhī kā jigar se paar ho jaanā
mirā dil halqa-e-zulm-o-sitam se chhuT sake kyūñkar
mizha kī jumbihsoñ kā gardish-e-parkār ho jaanā
kisī se bhuul kar ik baar bhī milnā qayāmat hai
kisī par aap kā lutf-o-karam sau baar ho jaanā
ta.ajjub kuchh nahīñ is par ki shauq-e-dīd-e-jānāñ meñ
mirī āñkhoñ kā sū-e-rauzan-e-dīvār ho jaanā
nahīñ hai ye karishma husn kā to aur phir kyā hai
tirī mahfil meñ merā daf.atan bīmār ho jaanā
kamāl-e-husn ko jab hai zavāl-e-husn bhī lāzim
to kyā dushvār hai phir in guloñ kā ḳhaar ho jaanā
zarā dekho udhar miinā udhar sāġhar udhar ḳhum hai
ghaTā uTThī hai kaalī mai-kasho hushiyār ho jaanā
zamāne kī na.ī bātoñ meñ shāmil ye bhī hai zāhid
ki rahn-e-mai tumhārā jubba-o-dastār ho jaanā
sahar chauñkā.e jis dam ḳhvāb se ai qāfile vaalo
vahīñ kas kar kamar chalne ko tum tayyār ho jaanā
gulistāñ se nikal kar ye sharaf paanā zahe-qismat
guloñ kā mah-jabīnoñ ke gale kā haar ho jaanā
tasavvur bhī mujhe mizhgān-o-abrū kā qayāmat hai
kabhī to tiir ban jaanā kabhī talvār ban jaanā
mohabbat kā karishma thā tasavvur kī ināyat thī
hamārā daf.atan mahv-e-ḳhayāl-e-yār ho jaanā
jise dekho vahī ab ārzū-mand-e-shahādat hai
ġhazab hai abrū-e-ḳhamdār kā talvār ho jaanā
bahut kuchh sāqī-e-bazm-e-azal kī mehrbānī thī
hamārā jazba-e-tauhīd se sarshār ho jaanā
dil-e-pur-shauq ko taḌpā gayā kuchh aur ai 'hāmid'
hayā kā anjuman meñ māna-e-guftār ho jaanā
hamari arz-e-matlab par tera bezar ho jaana
zara si baat par aamada-e-paikar ho jaana
kisi ke ishq mein dil ka kabhi bimar ho jaana
kabhi aankhon ka apni talib-e-didar ho jaana
teri aankhon ka aankhon se hamari chaar ho jaana
ye goya hoga barchhi ka jigar se par ho jaana
mera dil halqa-e-zulm-o-sitam se chhuT sake kyunkar
mizha ki jumbihson ka gardish-e-parkar ho jaana
kisi se bhul kar ek bar bhi milna qayamat hai
kisi par aap ka lutf-o-karam sau bar ho jaana
tajjub kuchh nahin is par ki shauq-e-did-e-jaanan mein
meri aankhon ka su-e-rauzan-e-diwar ho jaana
nahin hai ye karishma husn ka to aur phir kya hai
teri mahfil mein mera dafatan bimar ho jaana
kamal-e-husn ko jab hai zawal-e-husn bhi lazim
to kya dushwar hai phir in gulon ka KHar ho jaana
zara dekho udhar mina udhar saghar udhar KHum hai
ghaTa uTThi hai kali mai-kasho hushiyar ho jaana
zamane ki nai baaton mein shamil ye bhi hai zahid
ki rahn-e-mai tumhaara jubba-o-dastar ho jaana
sahar chaunkae jis dam KHwab se ai qafile walo
wahin kas kar kamar chalne ko tum tayyar ho jaana
gulistan se nikal kar ye sharaf pana zahe-qismat
gulon ka mah-jabinon ke gale ka haar ho jaana
tasawwur bhi mujhe mizhgan-o-abru ka qayamat hai
kabhi to tir ban jaana kabhi talwar ban jaana
mohabbat ka karishma tha tasawwur ki inayat thi
hamara dafatan mahw-e-KHayal-e-yar ho jaana
jise dekho wahi ab aarzu-mand-e-shahadat hai
ghazab hai abru-e-KHamdar ka talwar ho jaana
bahut kuchh saqi-e-bazm-e-azal ki mehrbani thi
hamara jazba-e-tauhid se sarshaar ho jaana
dil-e-pur-shauq ko taDpa gaya kuchh aur ai 'hamid'
haya ka anjuman mein mana-e-guftar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.