hamari aur tumhaari nibh rahi hai
hamārī aur tumhārī nibh rahī hai
na jaane kaise yaarī nibh rahī hai
unhīñ ko kyoñ banā paa.e na apnā
vafā auroñ se saarī nibh rahī hai
musībat meñ bhī merī tum na aa.e
to phir kyā rishtedārī nibh rahī hai
badal kī bhī koī ummīd mat rakh
samajh le zimmedārī nibh rahī hai
Thaharnā bhī mirā mushkil hai jaanā
yahāñ kaise tumhārī nibh rahī hai
diye 'hāsil' ne itne dard phir bhī
na jaane kyoñ hamārī nibh rahī hai
hamari aur tumhaari nibh rahi hai
na jaane kaise yari nibh rahi hai
unhin ko kyon bana pae na apna
wafa auron se sari nibh rahi hai
musibat mein bhi meri tum na aae
to phir kya rishtedari nibh rahi hai
badal ki bhi koi ummid mat rakh
samajh le zimmedari nibh rahi hai
Thaharna bhi mera mushkil hai jaana
yahan kaise tumhaari nibh rahi hai
diye 'hasil' ne itne dard phir bhi
na jaane kyon hamari nibh rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.