hamari bebasi dekhi nahin hai
hamārī bebasī dekhī nahīñ hai
huī muddat ki ham ne pī nahīñ hai
bhale hī āsmāñ hai rāhbar tū
ḳhudā ke sāmne kuchh bhī nahīñ hai
jahāñ ne chāñd taare chhū liye haiñ
pahelī ziist kī samjhī nahīñ hai
satāyā is qadar ham ko jahāñ ne
kisī kī baat ab chubhtī nahīñ hai
uThā luuñ sang hāthoñ meñ kahīñ nā
zabāñ ḳhāmosh hai par sī nahīñ hai
mirā 'aib-o-hunar kuchh bhī samajh lo
zarā bhī lahze meñ talḳhī nahīñ hai
vo kahte dil lagāo par 'dharam' ne
abhī to zindagī dekhī nahīñ hai
hamari bebasi dekhi nahin hai
hui muddat ki hum ne pi nahin hai
bhale hi aasman hai rahbar tu
KHuda ke samne kuchh bhi nahin hai
jahan ne chand tare chhu liye hain
paheli zist ki samjhi nahin hai
sataya is qadar hum ko jahan ne
kisi ki baat ab chubhti nahin hai
uTha lun sang hathon mein kahin na
zaban KHamosh hai par si nahin hai
mera 'aib-o-hunar kuchh bhi samajh lo
zara bhi lahze mein talKHi nahin hai
wo kahte dil lagao par 'dharam' ne
abhi to zindagi dekhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.