hamari jit yahi thi ki KHud se haar aae
hamārī jiit yahī thī ki ḳhud se haar aa.e
kisī ke ham pe ka.ī qarz the utaar aa.e
tumhārī yaad bhī hai bāz-gasht kī āvāz
jo ek baar pukāro to baar baar aa.e
har ek moḌ pe jaise vo muḌ ke dekhtā ho
nazar kuchh aise manāzir pas-e-ġhār aa.e
na jaane kaun se lamhoñ kī laġhzishoñ ke sabab
hamārī raah meñ sadiyoñ ke kohsār aa.e
kamāl kar diyā ham ne ki aarzū ke baġhair
kisī tarah se jiye zindagī guzār aa.e
hamari jit yahi thi ki KHud se haar aae
kisi ke hum pe kai qarz the utar aae
tumhaari yaad bhi hai baz-gasht ki aawaz
jo ek bar pukaro to bar bar aae
har ek moD pe jaise wo muD ke dekhta ho
nazar kuchh aise manazir pas-e-ghaar aae
na jaane kaun se lamhon ki laghzishon ke sabab
hamari rah mein sadiyon ke kohsar aae
kamal kar diya hum ne ki aarzu ke baghair
kisi tarah se jiye zindagi guzar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.