hamari kahkashan walon ki duniya mein andhera hai
hamārī kahkashāñ vāloñ kī duniyā meñ añdherā hai
kahāñ hai tū yahāñ vāloñ kī duniyā meñ añdherā hai
uThā sūraj to kirneñ oḌh kar so.e sitāre sab
ujālā āsmāñ vāloñ kī duniyā meñ añdherā hai
ujāle apnī par aa.eñ to bīnā.ī fanā kar deñ
ġhanīmat hai jahāñ vāloñ kī duniyā meñ añdherā hai
mohabbat do diloñ meñ raushnī kī baat hai pyāre
agarche darmiyāñ vāloñ kī duniyā meñ añdherā hai
tumheñ lagtā hai koī raushnī uupar se utregī
amā donoñ jahāñ vāloñ kī duniyā meñ añdherā hai
mohabbat arsh tak le jā.egī ye 'arsh' sochā thā
magar in lā-makāñ vāloñ kī duniyā meñ añdherā hai
hamari kahkashan walon ki duniya mein andhera hai
kahan hai tu yahan walon ki duniya mein andhera hai
uTha suraj to kirnen oDh kar soe sitare sab
ujala aasman walon ki duniya mein andhera hai
ujale apni par aaen to binai fana kar den
ghanimat hai jahan walon ki duniya mein andhera hai
mohabbat do dilon mein raushni ki baat hai pyare
agarche darmiyan walon ki duniya mein andhera hai
tumhein lagta hai koi raushni upar se utregi
ama donon jahan walon ki duniya mein andhera hai
mohabbat arsh tak le jaegi ye 'arsh' socha tha
magar in la-makan walon ki duniya mein andhera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.