hamari ramlila bas yahi hai
hamārī rāmlīlā bas yahī hai
hamārī chhat hamī par aa paḌī hai
samay rukne pe bhī ye chal rahī hai
bahut ye ek behūda ghaḌī hai
dar-o-dīvār-o-chhat jab gir chuke haiñ
to phir kis aas par sīḌhī khaḌī hai
tire bandoñ se yuuñ lagtā hai aise
ki ab ḳhud se hī terī dostī hai
batā kaise yahāñ hogā añdherā
makāñ meñ jab tumhārī raushnī hai
hamāre ḳhvāb kab ke so chuke haiñ
hamārī niiñd bhī ab jāgtī hai
agar hai dā.era hastī hamārī
tumhāre gird hī to ghūmtī hai
hamārī har ghaḌī ḳhud se laḌā.ī
bhalā ye zindagī bhī zindagī hai
hamārī pusht par hamla huā hai
hamārī kab kisī se dostī hai
hameñ ḳhush dekh kar hairān kyoñ ho
tumhāre husn kī ye chāshnī hai
sar-e-taslīm ḳham rakhnā hai 'mansūr'
hamāre baḳht meñ bas naukrī hai
hamari ramlila bas yahi hai
hamari chhat hami par aa paDi hai
samay rukne pe bhi ye chal rahi hai
bahut ye ek behuda ghaDi hai
dar-o-diwar-o-chhat jab gir chuke hain
to phir kis aas par siDhi khaDi hai
tere bandon se yun lagta hai aise
ki ab KHud se hi teri dosti hai
bata kaise yahan hoga andhera
makan mein jab tumhaari raushni hai
hamare KHwab kab ke so chuke hain
hamari nind bhi ab jagti hai
agar hai daera hasti hamari
tumhaare gird hi to ghumti hai
hamari har ghaDi KHud se laDai
bhala ye zindagi bhi zindagi hai
hamari pusht par hamla hua hai
hamari kab kisi se dosti hai
hamein KHush dekh kar hairan kyon ho
tumhaare husn ki ye chashni hai
sar-e-taslim KHam rakhna hai 'mansur'
hamare baKHt mein bas naukri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.