hamari ruh ko chhukar guzar gaya hai abhi
hamārī ruuh ko chhūkar guzar gayā hai abhī
vo ek lamha na jaane kidhar gayā hai abhī
ki daur-e-ishq meñ us kā bhī ek jism to thā
mujhe hai shak vo fazā meñ bikhar gayā hai abhī
ḳhazāne DhūñDhtā hai vo agar to le jaa.e
hamārī aañkh se zaa.e.a guhar gayā hai abhī
jabīñ pe lahreñ thiiñ bhītar badan meñ tūfāñ thā
ḳhudā kā shukr hai dariyā utar gayā hai abhī
tamām umr diye maiñ ne vaqt ko ta.ane
abhī sukūn hai thoḌā sudhar gayā hai abhī
hamari ruh ko chhukar guzar gaya hai abhi
wo ek lamha na jaane kidhar gaya hai abhi
ki daur-e-ishq mein us ka bhi ek jism to tha
mujhe hai shak wo faza mein bikhar gaya hai abhi
KHazane DhunDhta hai wo agar to le jae
hamari aankh se zaea guhar gaya hai abhi
jabin pe lahren thin bhitar badan mein tufan tha
KHuda ka shukr hai dariya utar gaya hai abhi
tamam umr diye main ne waqt ko tane
abhi sukun hai thoDa sudhar gaya hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.