hamari ruh ne jab us badan ko dekha tha
hamārī ruuh ne jab us badan ko dekhā thā
to yuuñ lagā ki kisī ne kafan ko dekhā thā
vo kaun apnī nigāhoñ se baat kartā thā
vo ham ne bazm meñ kis ke suḳhan ko dekhā thā
kalī kalī pe fidā.ī likhā huā paayā
kuchh is adā se ḳhizāñ ne chaman ko dekhā thā
'ajīb haal thā fikr-e-ma'āsh meñ us ne
na terī zulf na dār-o-rasan ko dekhā thā
do chaar gaam qarīb aa ga.ī mire manzil
baġhaur us ne safar kī thakan ko dekhā thā
'atā huī thiiñ 'ajīb-o-ġharīb sī nazreñ
har ek zarre meñ ek anjuman ko dekhā thā
phir ek ḳhāme kī qirtās par paḌī thī nazar
phir ek jaam ne tishna-dahan ko dekhā thā
usī nigāh-e-'ināyat kī den huuñ 'asrār'
ki jis nigah se ġhazal ne dakan ko dekhā thā
hamari ruh ne jab us badan ko dekha tha
to yun laga ki kisi ne kafan ko dekha tha
wo kaun apni nigahon se baat karta tha
wo hum ne bazm mein kis ke suKHan ko dekha tha
kali kali pe fidai likha hua paya
kuchh is ada se KHizan ne chaman ko dekha tha
'ajib haal tha fikr-e-ma'ash mein us ne
na teri zulf na dar-o-rasan ko dekha tha
do chaar gam qarib aa gai mere manzil
baghaur us ne safar ki thakan ko dekha tha
'ata hui thin 'ajib-o-gharib si nazren
har ek zarre mein ek anjuman ko dekha tha
phir ek KHame ki qirtas par paDi thi nazar
phir ek jam ne tishna-dahan ko dekha tha
usi nigah-e-'inayat ki den hun 'asrar'
ki jis nigah se ghazal ne dakan ko dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.