hamari tabahi mein kuchh us ka ehsan bhi hai
hamārī tabāhī meñ kuchh us kā ehsāñ bhī hai
jo dard in dinoñ vaj.h ārā.ish-e-jāñ bhī hai
yahī fasl kaliyāñ jhulastī haiñ jis fasl meñ
sunā hai nayā naam is kā bahārāñ bhī hai
bikherā gayā hai lahū un ke e.azāz meñ
bahāroñ meñ ḳhushbū-e-ḳhūn-e-shahīdāñ bhī hai
un āñkhoñ kī taqdīr ab ashk-rezī huī
aur ashkoñ kī taqdīr meñ rañg-e-marjāñ bhī hai
agar raat kaT jaa.e to ḳhush-nasībī kaho
fazāoñ meñ andesha-e-bād-o-bārāñ bhī hai
hamari tabahi mein kuchh us ka ehsan bhi hai
jo dard in dinon wajh aaraish-e-jaan bhi hai
yahi fasl kaliyan jhulasti hain jis fasl mein
suna hai naya nam is ka bahaaran bhi hai
bikhera gaya hai lahu un ke eazaz mein
bahaaron mein KHushbu-e-KHun-e-shahidan bhi hai
un aankhon ki taqdir ab ashk-rezi hui
aur ashkon ki taqdir mein rang-e-marjaan bhi hai
agar raat kaT jae to KHush-nasibi kaho
fazaon mein andesha-e-baad-o-baran bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.