hamari umron se raigani ko kha gai hai
hamārī umroñ se rā.igānī ko khā ga.ī hai
fazā mohabbat kī bad-gumānī ko khā ga.ī hai
bichhaḌne vaale palaT ke aayā to kin dinoñ meñ
ki jab judā.ī mirī javānī ko khā ga.ī hai
ye roz-o-shab apne ziist se ḳhālī kaT rahe haiñ
ma.āsh kī fikr zindagānī ko khā ga.ī hai
vo chāhtā thā ki us ke aage maiñ giḌgiḌā.ūñ
mirī anā us kī ḳhush-gumānī ko khā ga.ī hai
ḳhabar nahīñ ho rahī hameñ kuchh bhī is dhueñ meñ
bujhī huī hai yā aag paanī ko khā ga.ī hai
huā nahīñ aaj fart-e-ġham meñ bhī kār-girya
ye zabt kī ḳhū 'hasan' ravānī ko khā ga.ī hai
hamari umron se raigani ko kha gai hai
faza mohabbat ki bad-gumani ko kha gai hai
bichhaDne wale palaT ke aaya to kin dinon mein
ki jab judai meri jawani ko kha gai hai
ye roz-o-shab apne zist se KHali kaT rahe hain
maash ki fikr zindagani ko kha gai hai
wo chahta tha ki us ke aage main giDgiDaun
meri ana us ki KHush-gumani ko kha gai hai
KHabar nahin ho rahi hamein kuchh bhi is dhuen mein
bujhi hui hai ya aag pani ko kha gai hai
hua nahin aaj fart-e-gham mein bhi kar-girya
ye zabt ki KHu 'hasan' rawani ko kha gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.