hamari zist ka ek ek bab khul jae
hamārī ziist kā ik ek baab khul jaa.e
ḳhudāyā ham pe hamārī kitāb khul jaa.e
phir is ke ba.ad ye dasht-o-daman bhalā kyā haiñ
jo ġhaur-o-fikr kareñ āftāb khul jaa.e
zamīñ pe rāsta aa.e nazar to kyā hai ajab
ye rāsta to miyāñ zer-e-āb khul jaa.e
ḳhatīb chīḳhtā hai roz hī sar-e-mimbar
majāl kyā hai jo ham par ḳhitāb khul jaa.e
na jaane kab se dar-e-ḳhvāb par hai qufl paḌā
ḳhudāyā ab to koī ham pe baab khul jaa.e
hamāre farz kā daftar to khol Daalā hai
varaq huqūq kā bhī ik janāb khul jaa.e
'obaid' denā hai ham sab ko imtihāñ ik din
duā.eñ kiije ki ham par nisāb khul jaa.e
hamari zist ka ek ek bab khul jae
KHudaya hum pe hamari kitab khul jae
phir is ke baad ye dasht-o-daman bhala kya hain
jo ghaur-o-fikr karen aaftab khul jae
zamin pe rasta aae nazar to kya hai ajab
ye rasta to miyan zer-e-ab khul jae
KHatib chiKHta hai roz hi sar-e-mimbar
majal kya hai jo hum par KHitab khul jae
na jaane kab se dar-e-KHwab par hai qufl paDa
KHudaya ab to koi hum pe bab khul jae
hamare farz ka daftar to khol Dala hai
waraq huquq ka bhi ek janab khul jae
'obaid' dena hai hum sab ko imtihan ek din
duaen kije ki hum par nisab khul jae
- Book : سخن دریا (Pg. 73)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.