hamari zindagi ki is tarah har sham hoti hai
hamārī zindagī kī is tarah har shaam hotī hai
kabhī ye ḳhaas hotī hai kabhī ye aam hotī hai
mohabbat bhī kisī insān ke barbād hone kā
kabhī āġhāz hotī hai kabhī anjām hotī hai
kabhī ik vaqt thā har shaam tere naam hotī thī
abhī vo vaqt hai har shaam hī be-nām hotī hai
purāne daur meñ sachchī mohabbat hotī thī sab ko
abhī ke daur meñ to bas vafā nīlām hotī hai
safar is zindagī kā us jagah pahuñchā hai ab merā
musāfir ko jahāñ taklīf bhī ārām hotī hai
hamari zindagi ki is tarah har sham hoti hai
kabhi ye KHas hoti hai kabhi ye aam hoti hai
mohabbat bhi kisi insan ke barbaad hone ka
kabhi aaghaz hoti hai kabhi anjam hoti hai
kabhi ek waqt tha har sham tere nam hoti thi
abhi wo waqt hai har sham hi be-nam hoti hai
purane daur mein sachchi mohabbat hoti thi sab ko
abhi ke daur mein to bas wafa nilam hoti hai
safar is zindagi ka us jagah pahuncha hai ab mera
musafir ko jahan taklif bhi aaram hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.