hamari zindagi shayad saza hai
hamārī zindagī shāyad sazā hai
jise dekho ġhamoñ meñ mubtalā hai
mire rab yaar ko mere sukūñ de
mire hissa kā ġham us ko milā hai
ye rāh-e-‘ishq hai tū chal sañbhal kar
faqat kāñToñ-bharā ye rāsta hai
'ajab sī kashmakash hai zindagī meñ
mujhe yārab na kuchh bhī sūjhtā hai
ḳhatā karne se pahle soch lenā
ḳhudā achchhā burā sab dekhtā hai
hamari zindagi shayad saza hai
jise dekho ghamon mein mubtala hai
mere rab yar ko mere sukun de
mere hissa ka gham us ko mila hai
ye rah-e-‘ishq hai tu chal sanbhal kar
faqat kanTon-bhara ye rasta hai
'ajab si kashmakash hai zindagi mein
mujhe yarab na kuchh bhi sujhta hai
KHata karne se pahle soch lena
KHuda achchha bura sab dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.