hamdam na Dar kahan ka zamana kahan ke log
hamdam na Dar kahāñ kā zamāna kahāñ ke log
haa.il na kab diloñ meñ hue darmiyāñ ke log
hai terī aañkh se bhī ziyāda kahīñ nasha
phir kyoñ niyāz-mand haiñ pīr-e-muġhāñ ke log
ruḳhsār-o-lab kā ālam-e-gul-āfrīñ na pūchh
qaa.il nahīñ rahe sahar-e-gulsitāñ ke log
kuchh yuuñ ujaḌ ga.iiñ haiñ nigāhoñ kī bastiyāñ
jaise tire hī saath the saare jahāñ ke log
vīrān ho ga.ī haram-o-dair kī fazā
aa baiThe terī bazm meñ har āstāñ ke log
āḳhir ḳhulūs kī bhī koī had zarūr hai
manzil pe kab rahe haiñ baham kārvāñ ke log
baiThā huuñ ik taraf kisī fankār kī tarah
kirdār ban ga.e haiñ mirī dāstāñ ke log
ye mere ham-ḳhayāl the ye mere ham-zabāñ
ab haiñ jo ham-navā kisī shīrīñ-bayāñ ke log
shahr-e-vafā thā dil ise kyā hādisa huā
'shaukat' kahāñ chale ga.e āḳhir yahāñ ke log
hamdam na Dar kahan ka zamana kahan ke log
hail na kab dilon mein hue darmiyan ke log
hai teri aankh se bhi ziyaada kahin nasha
phir kyon niyaz-mand hain pir-e-mughan ke log
ruKHsar-o-lab ka aalam-e-gul-afrin na puchh
qail nahin rahe sahar-e-gulsitan ke log
kuchh yun ujaD gain hain nigahon ki bastiyan
jaise tere hi sath the sare jahan ke log
viran ho gai haram-o-dair ki faza
aa baiThe teri bazm mein har aastan ke log
aaKHir KHulus ki bhi koi had zarur hai
manzil pe kab rahe hain baham karwan ke log
baiTha hun ek taraf kisi fankar ki tarah
kirdar ban gae hain meri dastan ke log
ye mere ham-KHayal the ye mere ham-zaban
ab hain jo ham-nawa kisi shirin-bayan ke log
shahr-e-wafa tha dil ise kya hadisa hua
'shaukat' kahan chale gae aaKHir yahan ke log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.