hamdard tere jaisa nahin koi yahan aur
hamdard tere jaisā nahīñ koī yahāñ aur
uTh jaa.eñ tere dar se to ham jaa.eñ kahāñ aur
rūdād-e-chaman donoñ sunāte to haiñ lekin
kāñToñ kā bayāñ aur hai phūloñ kā bayāñ aur
shāyad mire qātil ko ye ma.alūm nahīñ hai
dhul kar chamak uTTheñge mire ḳhuuñ ke nishāñ aur
ab jā ke khulā vo bhī hai ik pyaas kā sahrā
thā pahle samundar ke ta'alluq se gumāñ aur
sunte the ki haq-goī ke in.aam baḌe haiñ
dekhā hai mirī āñkhoñ ne 'irfān' samāñ aur
hamdard tere jaisa nahin koi yahan aur
uTh jaen tere dar se to hum jaen kahan aur
rudad-e-chaman donon sunate to hain lekin
kanTon ka bayan aur hai phulon ka bayan aur
shayad mere qatil ko ye malum nahin hai
dhul kar chamak uTThenge mere KHun ke nishan aur
ab ja ke khula wo bhi hai ek pyas ka sahra
tha pahle samundar ke ta'alluq se guman aur
sunte the ki haq-goi ke inam baDe hain
dekha hai meri aankhon ne 'irfan' saman aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.