hamein ab hijr us ka khal raha hai kya kiya jae
hameñ ab hijr us kā khal rahā hai kyā kiyā jaa.e
jo vā'da vasl kā thā Tal rahā hai kyā kiyā jaa.e
kabhī jis kī badaulat ham ko sab ādāb karte the
bulandī kā vo sūraj Dhal rahā hai kyā kiyā jaa.e
tirī pyārī sī sūrat ko basāte dil ke mandir meñ
magar tū aañkh se ojhal rahā hai kyā kiyā jaa.e
maiñ saarī hasratoñ ko dafn to kar aayā huuñ lekin
tumhārā ḳhvāb dil meñ pal rahā hai kyā kiyā jaa.e
na rāvan hai kahānī meñ na siitā zindagānī meñ
magar banvās phir bhī chal rahā hai kyā kiyā jaa.e
hamein ab hijr us ka khal raha hai kya kiya jae
jo wa'da wasl ka tha Tal raha hai kya kiya jae
kabhi jis ki badaulat hum ko sab aadab karte the
bulandi ka wo suraj Dhal raha hai kya kiya jae
teri pyari si surat ko basate dil ke mandir mein
magar tu aankh se ojhal raha hai kya kiya jae
main sari hasraton ko dafn to kar aaya hun lekin
tumhaara KHwab dil mein pal raha hai kya kiya jae
na rawan hai kahani mein na sita zindagani mein
magar banwas phir bhi chal raha hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.