hamein bhi aa gaya aaKHir kisi gham ko chhupa dena
hameñ bhī aa gayā āḳhir kisī ġham ko chhupā denā
koī dil kī agar pūchhe zarā sā muskurā denā
maiñ apne dil meñ rakhtī huuñ mohabbat karne vāloñ ko
kabhī sīkhā nahīñ maiñ ne nagīnoñ ko gañvā denā
agar ḳhālī huuñ donoñ haath bhī phailā nahīñ saktī
ki jo ḳhud hī savālī ho mujhe phir us ne kyā denā
kisī kī pyaas ne samjhā diyā hai zindagī karnā
kabhī zaḳhmoñ pe lab rakhnā kabhī aañsū bahā denā
kisī kī yaad kā dīpak agar bujhne lage jānam
mire so.e hue zaḳhmoñ ko Thokar se jagā denā
hamāre pyaar kā sūraj agar ab Duub bhī jaa.e
mire hisse kī kirnoñ ko kisī dil meñ chhupā denā
hamein bhi aa gaya aaKHir kisi gham ko chhupa dena
koi dil ki agar puchhe zara sa muskura dena
main apne dil mein rakhti hun mohabbat karne walon ko
kabhi sikha nahin main ne naginon ko ganwa dena
agar KHali hun donon hath bhi phaila nahin sakti
ki jo KHud hi sawali ho mujhe phir us ne kya dena
kisi ki pyas ne samjha diya hai zindagi karna
kabhi zaKHmon pe lab rakhna kabhi aansu baha dena
kisi ki yaad ka dipak agar bujhne lage jaanam
mere soe hue zaKHmon ko Thokar se jaga dena
hamare pyar ka suraj agar ab Dub bhi jae
mere hisse ki kirnon ko kisi dil mein chhupa dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.