hamein fursat unhen fursat nahin hai
hameñ fursat unheñ fursat nahīñ hai
visāl-e-yār kī sūrat nahīñ hai
rahā barsoñ se apnā ghar samajh kar
qafas se kyoñ kahūñ ulfat nahīñ hai
nigāheñ pher lo nazreñ tumhārī
nazar badle mirī aadat nahīñ hai
havas meñ zar kī itnī be-hayā.ī
namak roTī meñ kyā rāhat nahīñ hai
na bachchoñ meñ rahī izzat baḌoñ kī
buzurgoñ meñ bhī vo shafqat nahīñ hai
rahūñgā ḳhaak pe ki ḳhaak kā huuñ
falak par uḌne kī hājat nahīñ hai
achānak raah meñ ruk kar vo bole
hameñ manzil kī ab chāhat nahīñ hai
ḳhabar auroñ se hī ‘mūnis’ kī le lo
tumheñ milne kī gar mohlat nahīñ hai
hamein fursat unhen fursat nahin hai
visal-e-yar ki surat nahin hai
raha barson se apna ghar samajh kar
qafas se kyon kahun ulfat nahin hai
nigahen pher lo nazren tumhaari
nazar badle meri aadat nahin hai
hawas mein zar ki itni be-hayai
namak roTi mein kya rahat nahin hai
na bachchon mein rahi izzat baDon ki
buzurgon mein bhi wo shafqat nahin hai
rahunga KHak pe ki KHak ka hun
falak par uDne ki hajat nahin hai
achanak rah mein ruk kar wo bole
hamein manzil ki ab chahat nahin hai
KHabar auron se hi ‘munis’ ki le lo
tumhein milne ki gar mohlat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.