hamein haara nahin samjho ki hum dil-gir aae hain
hameñ haarā nahīñ samjho ki ham dil-gīr aa.e haiñ
kamāneñ thiiñ kahīñ par aur kahīñ se tiir aa.e haiñ
nazar bhar dekh lo ham aaj takmīl-e-tamannā meñ
tumhāre rū-ba-rū pahne hue zanjīr aa.e haiñ
ye sar hāzir hai merā gar salāmat aap rah jaa.eñ
vagarna muft hāthoñ meñ liye shamshīr aa.e haiñ
ilāhī de hameñ nusrat ki ham tere bharose par
zabāñ par aaj rakh kar nāra-e-takbīr aa.e haiñ
jahāñ par aag barsā.ī thī tum ne āsmānoñ se
usī bastī meñ ham kar ke na.ī ta.amīr aa.e haiñ
siyāhī dil kī miT jā.egī qibla dekh liije ham
laboñ par muskurāhaT kī liye jāgīr aa.e haiñ
har ik lahja savālī hai abhī tak bazm meñ 'tashna'
gumāñ hotā hai jaise lucknow meñ 'mīr' aa.e haiñ
hamein haara nahin samjho ki hum dil-gir aae hain
kamanen thin kahin par aur kahin se tir aae hain
nazar bhar dekh lo hum aaj takmil-e-tamanna mein
tumhaare ru-ba-ru pahne hue zanjir aae hain
ye sar hazir hai mera gar salamat aap rah jaen
wagarna muft hathon mein liye shamshir aae hain
ilahi de hamein nusrat ki hum tere bharose par
zaban par aaj rakh kar nara-e-takbir aae hain
jahan par aag barsai thi tum ne aasmanon se
usi basti mein hum kar ke nai tamir aae hain
siyahi dil ki miT jaegi qibla dekh lije hum
labon par muskurahaT ki liye jagir aae hain
har ek lahja sawali hai abhi tak bazm mein 'tashna'
guman hota hai jaise lucknow mein 'mir' aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.