hamein hasin bahut lag rahe ho pyare tum
hameñ hasīn bahut lag rahe ho pyāre tum
ḳhudā kare ki bano ham-safar hamāre tum
kabhī jo vaqt burā zindagī meñ aa jaa.e
rahūñ sahāre tumhāre mire sahāre tum
yahī du'ā hai mire dost 'umr-e-rafta meñ
ḳhudā kare na uThāo kabhī ḳhasāre tum
hue ho barf ke mānind aaj kyoñ bolo
isī jahāñ meñ rahe ho kabhī sharāre tum
phabeñge kaise batāo hamāre hujre meñ
falak se toḌ ke laa.e ho jo sitāre tum
gayā ye vaqt to phir lauT ke na aa.egā
samajh bhī jaao miyāñ vaqt ke ishāre tum
miyāñ satā.e na tā-'umr tum ko nākāmī
karo na kaam koī 'tāj' bin vichāre tum
hamein hasin bahut lag rahe ho pyare tum
KHuda kare ki bano ham-safar hamare tum
kabhi jo waqt bura zindagi mein aa jae
rahun sahaare tumhaare mere sahaare tum
yahi du'a hai mere dost 'umr-e-rafta mein
KHuda kare na uThao kabhi KHasare tum
hue ho barf ke manind aaj kyon bolo
isi jahan mein rahe ho kabhi sharare tum
phabenge kaise batao hamare hujre mein
falak se toD ke lae ho jo sitare tum
gaya ye waqt to phir lauT ke na aaega
samajh bhi jao miyan waqt ke ishaare tum
miyan satae na ta-'umr tum ko nakaami
karo na kaam koi 'taj' bin wichaare tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.