hamein hosh mein phir se lai mohabbat
hameñ hosh meñ phir se laa.ī mohabbat
hayāt-āfrīñ hai tumhārī mohabbat
'ibādat sadāqat se kam to nahīñ thī
na paa.e samajh aap merī mohabbat
sharāb-e-mohabbat haqīqat banegā
divānoñ sī tum ne agar kī mohabbat
sañvārā laḌakpan tafakkur ne aisā
suḳhan se huī jāvedānī mohabbat
diyā zaḳhm-e-dil itnā gahrā kisī ne
na phir ham se ab ho sakegī mohabbat
nishāñ us ke ġham ke hue sabt dil par
rulātī hai ab bhī purānī mohabbat
vo kahtā hai 'hāsil' baḌā nā-samajh hai
ki patthar diloñ par luTā.ī mohabbat
hamein hosh mein phir se lai mohabbat
hayat-afrin hai tumhaari mohabbat
'ibaadat sadaqat se kam to nahin thi
na pae samajh aap meri mohabbat
sharab-e-mohabbat haqiqat banega
diwanon si tum ne agar ki mohabbat
sanwara laDakpan tafakkur ne aisa
suKHan se hui jawedani mohabbat
diya zaKHm-e-dil itna gahra kisi ne
na phir hum se ab ho sakegi mohabbat
nishan us ke gham ke hue sabt dil par
rulati hai ab bhi purani mohabbat
wo kahta hai 'hasil' baDa na-samajh hai
ki patthar dilon par luTai mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.