hamein ishq ab wo sikhane lage hain
hameñ 'ishq ab vo sikhāne lage haiñ
jinheñ chhoḌ ke log jaane lage haiñ
na sailāb aayā na tūfāñ hī koī
adāoñ se dil vo Dubāne lage haiñ
kaḌī dhuup meñ chhāñv zulfoñ kī un kī
hameñ to ye mausam suhāne lage haiñ
hare peḌ par gul khile laal niile
fazā ke ye manzar lubhāne lage haiñ
kisī ne na pūchhī tabī'at hamārī
yahāñ log rishta nibhāne lage haiñ
hameñ ab sharāboñ se matlab hī kyā hai
vo har rang apnā dikhāne lage haiñ
havā se bujhegā na dil kā diyā ab
use ḳhuuñ jigar kā pilāne lage haiñ
hameñ koī bhāne dubāra lagā hai
ke ham hijr ko ab Darāne lage haiñ
nahīñ 'ishq thā phir bhī bārāt aa.ī
samājoñ ko chashme purāne lage haiñ
kabhī bhī na hāreñge ham 'ishq vaale
hameñ jītne meñ zamāne lage haiñ
hamein 'ishq ab wo sikhane lage hain
jinhen chhoD ke log jaane lage hain
na sailab aaya na tufan hi koi
adaon se dil wo Dubane lage hain
kaDi dhup mein chhanw zulfon ki un ki
hamein to ye mausam suhane lage hain
hare peD par gul khile lal nile
faza ke ye manzar lubhane lage hain
kisi ne na puchhi tabi'at hamari
yahan log rishta nibhane lage hain
hamein ab sharabon se matlab hi kya hai
wo har rang apna dikhane lage hain
hawa se bujhega na dil ka diya ab
use KHun jigar ka pilane lage hain
hamein koi bhane dubara laga hai
ke hum hijr ko ab Darane lage hain
nahin 'ishq tha phir bhi baraat aai
samajon ko chashme purane lage hain
kabhi bhi na haarenge hum 'ishq wale
hamein jitne mein zamane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.