hamein jab ehsas-e-zindagi tha to dil mein ek KHwahish-e-numu thi
hamein jab ehsas-e-zindagi tha to dil mein ek KHwahish-e-numu thi
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
hameñ jab ehsās-e-zindagī thā to dil meñ ik ḳhvāhish-e-numū thī
ajiib nikhrā huā thā aalam hasīn duniyā-e-rang-o-bū thī
kahīñ pe thī rang-o-bū kī kasrat kahīñ pe taqsīm-e-rang-o-bū thī
talāsh thī mā-sivā kī mujh ko unheñ ḳhud apnī hī justujū thī
nashāt-angez thiiñ havā.eñ surūr-afroz thiiñ fazā.eñ
shu.ūr thā aur yaad terī nazar thī aur terī justujū thī
dayār-e-nau meñ agar hamārā vaqār qaa.em nahīñ to kyā hai
kabhī hamārā bhī martaba thā kabhī hamārī bhī aabrū thī
shafaq ke sailāb meñ nahā kar kabhī jo ubhre hasīn sāġhar
to mai-kade kī nashāt-parvar fazā meñ āvāz-e-hāo-hū thī
har ik nazar meñ jamāl terā har ik qadam pe ḳhayāl terā
ki āb-o-gil ke jahāñ meñ ab tak talāsh terī hī chār-sū thī
tire tasavvur kā lamha lamha 'ziyā' kī taskīn-e-dil kā baa.is
ki us kī duniyā meñ kuchh nahīñ thā bas ek terī hī aarzū thī
hamein jab ehsas-e-zindagi tha to dil mein ek KHwahish-e-numu thi
ajib nikhra hua tha aalam hasin duniya-e-rang-o-bu thi
kahin pe thi rang-o-bu ki kasrat kahin pe taqsim-e-rang-o-bu thi
talash thi ma-siwa ki mujh ko unhen KHud apni hi justuju thi
nashat-angez thin hawaen surur-afroz thin fazaen
shuur tha aur yaad teri nazar thi aur teri justuju thi
dayar-e-nau mein agar hamara waqar qaem nahin to kya hai
kabhi hamara bhi martaba tha kabhi hamari bhi aabru thi
shafaq ke sailab mein naha kar kabhi jo ubhre hasin saghar
to mai-kade ki nashat-parwar faza mein aawaz-e-hao-hu thi
har ek nazar mein jamal tera har ek qadam pe KHayal tera
ki aab-o-gil ke jahan mein ab tak talash teri hi chaar-su thi
tere tasawwur ka lamha lamha 'ziya' ki taskin-e-dil ka bais
ki us ki duniya mein kuchh nahin tha bas ek teri hi aarzu thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.