hamein jab se mohabbat ho gai hai
hameñ jab se mohabbat ho ga.ī hai
ajab sī dil kī hālat ho ga.ī hai
kuḌhātā hī rahā mujh ko hamesha
mujhe is dil se vahshat ho ga.ī hai
jahāñ kā paas hai kahtā huuñ apnā
vagarna un se nafrat ho ga.ī hai
unheñ paane kī thī jo ik tamanna
vahī ab dil kī hasrat ho ga.ī hai
tirī sar-mastiyāñ saaqī salāmat
ye duniyā ek hairat ho ga.ī hai
kabhī pur-kaif thī ye zindagānī
magar ab ik musībat ho ga.ī hai
unheñ hasrat se dekhā raat maiñ ne
yahī mujh se sharārat ho ga.ī hai
jise kahtā hai 'ālam' ik fasāna
zamāne kī haqīqat ho ga.ī hai
hamein jab se mohabbat ho gai hai
ajab si dil ki haalat ho gai hai
kuDhata hi raha mujh ko hamesha
mujhe is dil se wahshat ho gai hai
jahan ka pas hai kahta hun apna
wagarna un se nafrat ho gai hai
unhen pane ki thi jo ek tamanna
wahi ab dil ki hasrat ho gai hai
teri sar-mastiyan saqi salamat
ye duniya ek hairat ho gai hai
kabhi pur-kaif thi ye zindagani
magar ab ek musibat ho gai hai
unhen hasrat se dekha raat main ne
yahi mujh se shararat ho gai hai
jise kahta hai 'alam' ek fasana
zamane ki haqiqat ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.