hamein jo shauq tha achchhaiyon ka
hameñ jo shauq thā achchhā.iyoñ kā
vahī baa.is banā rusvā.iyoñ kā
maiñ dil ko dafn kar aaya vahīñ par
jahāñ kal shor thā shahnā.iyoñ kā
faqat is vāste ḳhāmosh the ham
hameñ Dar thā tirī rusvā.iyoñ kā
merī uljhan ke aage sar-nigūñ haiñ
vo jin ko zo'm thā dānā.iyoñ kā
jise dekho vo dhokā de rahā hai
tumhārā shahr hai harjā.iyoñ kā
na chhoḌeñge kabhī tum ko akelā
hameñ ehsās hai tanhā.iyoñ kā
vo ab mahñgā.ī par ḳhāmosh kyoñ haiñ
jinheñ ġham thā bahut mahñgā.iyoñ kā
use hākim banāyā jā rahā hai
jo kal sardār thā balvā.iyoñ kā
hamein jo shauq tha achchhaiyon ka
wahi bais bana ruswaiyon ka
main dil ko dafn kar aaya wahin par
jahan kal shor tha shahnaiyon ka
faqat is waste KHamosh the hum
hamein Dar tha teri ruswaiyon ka
meri uljhan ke aage sar-nigun hain
wo jin ko zo'm tha danaiyon ka
jise dekho wo dhoka de raha hai
tumhaara shahr hai harjaiyon ka
na chhoDenge kabhi tum ko akela
hamein ehsas hai tanhaiyon ka
wo ab mahngai par KHamosh kyon hain
jinhen gham tha bahut mahngaiyon ka
use hakim banaya ja raha hai
jo kal sardar tha balwaiyon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.