hamein KHud ko bachana bhi nahin hai
Interesting Fact
شمس الرحمن فاروقی کی غزل سے متاثر ہو کر
hameñ ḳhud ko bachānā bhī nahīñ hai
magar yuuñ hī miTānā bhī nahīñ hai
nayā apnā fasāna bhī nahīñ hai
magar itnā purānā bhī nahīñ hai
nahīñ yādoñ meñ us kī dil jalānā
magar yaksar bhulānā bhī nahīñ hai
bhaTaknā to nahīñ hai ham ko lekin
banānā āshiyāna bhī nahīñ hai
nahīñ kuchh lenā denā zindagī se
magar is ko gañvānā bhī nahīñ hai
hamein KHud ko bachana bhi nahin hai
magar yun hi miTana bhi nahin hai
naya apna fasana bhi nahin hai
magar itna purana bhi nahin hai
nahin yaadon mein us ki dil jalana
magar yaksar bhulana bhi nahin hai
bhaTakna to nahin hai hum ko lekin
banana aashiyana bhi nahin hai
nahin kuchh lena dena zindagi se
magar is ko ganwana bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.