hamein KHwab mein hi bulaya to hota
hameñ ḳhvāb meñ hī bulāyā to hotā
chhupā dard dil kā batāyā to hotā
mujhe mushkiloñ meñ ga.e chhoḌ kar tum
mirā saath yaaro nibhāyā to hotā
nahīñ jhuuT kahtā kabhī bhī kisī se
kabhī ḳhud ko darpan dikhāyā to hotā
gayā duur jab se mujhe chhoḌ kar vo
mirī samt ik baar aaya to hotā
havā meñ yahāñ nafrateñ ghul rahī haiñ
mohabbat kā gul bhī lagāyā to hotā
amīrī ġharībī milegī to har-sū
nazar kā ye pardā haTāyā to hotā
rakhī lab pe muskān ham ne bhī yaaro
kabhī dard apnā dikhāyā to hotā
mohabbat ḳhudā hai zabāñ par hai mere
zamāne ko ai kaash bhāyā to hotā
hamein KHwab mein hi bulaya to hota
chhupa dard dil ka bataya to hota
mujhe mushkilon mein gae chhoD kar tum
mera sath yaro nibhaya to hota
nahin jhuT kahta kabhi bhi kisi se
kabhi KHud ko darpan dikhaya to hota
gaya dur jab se mujhe chhoD kar wo
meri samt ek bar aaya to hota
hawa mein yahan nafraten ghul rahi hain
mohabbat ka gul bhi lagaya to hota
amiri gharibi milegi to har-su
nazar ka ye parda haTaya to hota
rakhi lab pe muskan hum ne bhi yaro
kabhi dard apna dikhaya to hota
mohabbat KHuda hai zaban par hai mere
zamane ko ai kash bhaya to hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.