hamein kis samt le kar ja rahi hai
hameñ kis samt le kar jā rahī hai
tirī tasvīr ab bahkā rahī hai
tumhāre jism kī ḳhushbū musalsal
hamāre jism se ab aa rahī hai
mire mahbūb kī sohbat meñ aa kar
ye koyal aur mīThā gā rahī hai
gulistāñ kī taraf ḳhushbū nirantar
tumhāre pairahan se jā rahī hai
tumhāre naam se dil ke makāñ meñ
hamesha ek khiḌkī vā rahī hai
vahī shai chāhiye saare jahāñ ko
mire mahbūb ko jo bhā rahī hai
hamein kis samt le kar ja rahi hai
teri taswir ab bahka rahi hai
tumhaare jism ki KHushbu musalsal
hamare jism se ab aa rahi hai
mere mahbub ki sohbat mein aa kar
ye koyal aur miTha ga rahi hai
gulistan ki taraf KHushbu nirantar
tumhaare pairahan se ja rahi hai
tumhaare nam se dil ke makan mein
hamesha ek khiDki wa rahi hai
wahi shai chahiye sare jahan ko
mere mahbub ko jo bha rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.